pila saqiya ab mai-e-surKH rang
pilā sāqiyā ab mai-e-surḳh rañg
ki is qaid-e-qālib se hai ruuh tañg
shab-o-roz hai nafs kāfir kamīñ
fatah de kahāñ tak karūñ is se jañg
tire fazl kā ab huuñ ummīd-vār
hai ye nafs-e-ammāra misl-e-nihañg
pilā sharbat-e-misrī yūsuf mere
ki tishna ko kab sabr az āb-e-kHunuk
'ajab haal hai ahl-e-duniyā kā aah
uThāte haiñ fitna ko kaise haiñ Dhañg
kamāl-e-faqīrī kahāñ aur tamīz
madārī faqīr-o-gadā huuñ malañg
do-rañgī meñ hai merā fe'l aur qaul
ai 'āshiq-e-sādiq tu ho ek rañg
kiyā naam pīroñ kā badnām maiñ
mujhe sharm aatī hai aur 'aar nañg
gulistān-e-mohabbat kā taaza ho gul
mohabbat ho jis kī vo hai us ke sañg
madad pīr-e-miskīn jab tak na ho
samajh le ki hai ā.īna-e-dil pe zañg
nahīñ koī 'mahmūd' kā yaar ab
hai ḳhāna-nashīñ kyā huā pā-e-lañg
pila saqiya ab mai-e-surKH rang
ki is qaid-e-qalib se hai ruh tang
shab-o-roz hai nafs kafir kamin
fatah de kahan tak karun is se jang
tere fazl ka ab hun ummid-war
hai ye nafs-e-ammara misl-e-nihang
pila sharbat-e-misri yusuf mere
ki tishna ko kab sabr az aab-e-kHunuk
'ajab haal hai ahl-e-duniya ka aah
uThate hain fitna ko kaise hain Dhang
kamal-e-faqiri kahan aur tamiz
madari faqir-o-gada hun malang
do-rangi mein hai mera fe'l aur qaul
ai 'ashiq-e-sadiq tu ho ek rang
kiya nam piron ka badnam main
mujhe sharm aati hai aur 'ar nang
gulistan-e-mohabbat ka taza ho gul
mohabbat ho jis ki wo hai us ke sang
madad pir-e-miskin jab tak na ho
samajh le ki hai aaina-e-dil pe zang
nahin koi 'mahmud' ka yar ab
hai KHana-nashin kya hua pa-e-lang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.