aaj KHosha mein dana chale aao chiDiyan
aaj KHosha mein dana chale aao chiDiyan
Mahmood Shah Naqshbandi
MORE BYMahmood Shah Naqshbandi
aaj ḳhosha meñ daana chale aao chiḌiyāñ
ye makka kā daana paḌā khaao chiḌiyāñ
kyā laayā hai daana ne us daam meñ aaj
girift hai us jaal meñ na phañs jaao chiḌāñ
misl hai ki bhaTke kī chiḌiyā ye kab tak
ye daana ko khā kar na uḌ jaao chiḌiyāñ
bahut hai sharāb aaj mai-kHāna andar
le miitā mohabbat kā pī jaao chiḌiyāñ
khulā aaj darvāza phir ho.egā band
hue baa'd band phir na pachhtāo chiḌiyāñ
ishāra hai ham pīr-gāñ ahl-e-halqa
rakhā naam chiḌāñ na chiḌ jaao chiḌiyāñ
hai muñh chhoTā chiḌiyā kā daana baḌā hai
bas aaj apnī qismat ko āzmāo chiḌiyāñ
hai peT un kā chhoTā sā aur dil bhī hai tañg
yak chullū se paanī ke tham jaao chiḌāñ
hai mausam-e-bārāñ aur tuġhyānī gañg
yak qatra to nadī se pī jaao chiḌiyāñ
zarā’at hai makka kī nadī kināre
ye ḳhosha ke daana chun chun khaao chiḌiyāñ
chale aao 'mahmūd' ke hamrāh nadī
ab mausam hai kHarbūza ko khaao chiḌiyāñ
nahīñ tum ko taklīf detā hai mahmūd
tum ḳhātir-jam.a dil meñ baiTh jaao chiḌiyāñ
aaj KHosha mein dana chale aao chiDiyan
ye makka ka dana paDa khao chiDiyan
kya laya hai dana ne us dam mein aaj
girift hai us jal mein na phans jao chiDan
misl hai ki bhaTke ki chiDiya ye kab tak
ye dana ko kha kar na uD jao chiDiyan
bahut hai sharab aaj mai-kHana andar
le mita mohabbat ka pi jao chiDiyan
khula aaj darwaza phir hoega band
hue ba'd band phir na pachhtao chiDiyan
ishaara hai hum pir-gan ahl-e-halqa
rakha nam chiDan na chiD jao chiDiyan
hai munh chhoTa chiDiya ka dana baDa hai
bas aaj apni qismat ko aazmao chiDiyan
hai peT un ka chhoTa sa aur dil bhi hai tang
yak chullu se pani ke tham jao chiDan
hai mausam-e-baran aur tughyani gang
yak qatra to nadi se pi jao chiDiyan
zara’at hai makka ki nadi kinare
ye KHosha ke dana chun chun khao chiDiyan
chale aao 'mahmud' ke hamrah nadi
ab mausam hai kHarbuza ko khao chiDiyan
nahin tum ko taklif deta hai mahmud
tum KHatir-jama dil mein baiTh jao chiDiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.