sar-e-zulf-o-gul-e-rukHsar mahbubi phansa dil ko
sar-e-zulf-o-gul-e-rukHsar mahbubi phansa dil ko
Mahmood Shah Naqshbandi
MORE BYMahmood Shah Naqshbandi
sar-e-zulf-o-gul-e-rukHsār mahbūbī phañsā dil ko
ki phir bār-e-digar hargiz ḳhalāsī nā ho bulbul ko
kamand-e-yār meñ aisā phañsānā chāhiye dil ko
dil-e-āhū ramīda kā murād-e-dil ab hāsil ho
gulistān-e-haram ke aaj kyā ḳhandāñ gul-o-bulbul
rahe sarsabz ye bāġh-e-jināñ yā-rab na zaa.il ho
tasadduq ho to aise kā ki jo ho 'āshiq-e-kā'ba
tujhe kyā qadr kā'ba kī nahīñ tū 'āshiq-e-kāmil ho
nahīñ hai duur vo kā'ba tere shāh-rag se hai nazdīk
yahī hai vaqt fursat kā yalam-lam chal na kāhil ho
farz hai bāñdhnā arafa aur ehrām-e-tavāf-e-ka'aba
zab.h kar nafs-e-dumba ko ki phir haj terā fāzil ho
na jab tak sar tarāshe haaj khule ehrām nā-mumkin
kare sañgsār shaitāñ ko hai vājib dekh masā.il ko
fidā kar maal jaan apnā ki jo ho 'āshiq-e-miskīñ
zarā tū qadr kar 'ālim na itnā munkir-e-jāhil ho
du'ā hai yaum 'āshūra goyā miftāh jannat kī
fat.h hai baab kā'ba kā amn hai jo ki dāḳhil ho
'umr ho piir mere kī ziyāda ek sau se bhī
ki murshid shāh-e-miskīñ min qutb-e-kāmil-o-akmal ho
use bād-e-ḳhizāñ āfāt-e-duniyā se nigāh rakhnā
dil-e-‘mahmūd’ fanā-e-gul pe haañ hargiz na maa.il ho
sar-e-zulf-o-gul-e-rukHsar mahbubi phansa dil ko
ki phir bar-e-digar hargiz KHalasi na ho bulbul ko
kamand-e-yar mein aisa phansana chahiye dil ko
dil-e-ahu ramida ka murad-e-dil ab hasil ho
gulistan-e-haram ke aaj kya KHandan gul-o-bulbul
rahe sarsabz ye bagh-e-jinan ya-rab na zail ho
tasadduq ho to aise ka ki jo ho 'ashiq-e-ka'ba
tujhe kya qadr ka'ba ki nahin tu 'ashiq-e-kaamil ho
nahin hai dur wo ka'ba tere shah-rag se hai nazdik
yahi hai waqt fursat ka yalam-lam chal na kahil ho
farz hai bandhna arafa aur ehram-e-tawaf-e-ka'aba
zabh kar nafs-e-dumba ko ki phir haj tera fazil ho
na jab tak sar tarashe haj khule ehram na-mumkin
kare sangsar shaitan ko hai wajib dekh masail ko
fida kar mal jaan apna ki jo ho 'ashiq-e-miskin
zara tu qadr kar 'alim na itna munkir-e-jahil ho
du'a hai yaum 'ashura goya miftah jannat ki
fath hai bab ka'ba ka amn hai jo ki daKHil ho
'umr ho pir mere ki ziyaada ek sau se bhi
ki murshid shah-e-miskin min qutb-e-kaamil-o-akmal ho
use baad-e-KHizan aafat-e-duniya se nigah rakhna
dil-e-‘mahmud’ fana-e-gul pe han hargiz na mail ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.