ishq KHalwat mein tha aakHir sar-e-bazar hua
ishq KHalwat mein tha aakHir sar-e-bazar hua
Mahmood Shah Naqshbandi
MORE BYMahmood Shah Naqshbandi
'ishq ḳhalvat meñ thā ākHir sar-e-bāzār huā
ek 'ālam merī hālat se ḳhabar-dār huā
lailā majnūñ kā hai qissa yā zuleḳhā yūsuf
'ishq meñ shīrīñ ke farhād kyuuñ kohsār huā
'ishq aur mushk chhapāne se kahīñ chhuptā hai
laakh hujre meñ rakho tabla-e-’attār huā
ruḳh dikhā apnā zarā aur uThā de maqta’
jāma-e-zindagī bas tan pe girāñbār huā
ek lahza na judā yaar vafādār se ho
vaqt-e-sakHtī-o-musībat jo madad-gār huā
yaar duniyā se vafā.ī nahīñ dekhā koī
imtihān kar ke zamāna kā meñ hoshiyār huā
kis meñ tāqat hai kare vasf-e-imām-e-ā’zam
sau daf.a ḳhvāb meñ rab kā jise dīdār huā
baras chālīs tak ek vuzū se namāz-e-’ishā
kyā namāz-e-fazr paḌhī kaisā ye sardār huā
kyā nikaltī hai zabāñ se vo anal-haq kī sadā
sar-e-mansūr isī vāste bardār huā
rind mastoñ kā hai maqbūl sabhī hāl-o-qāl
mai-e-vahdat jo piyā us kā rabb-e-ġhaffār huā
jāma-e-chūñ kī ḳhabar jis ko na ho hai majzūb
hālat-e-jazb meñ kyā haal numūdār huā
’āshiq-e-nām-e-mohammad ko na chhuegī dozaḳh
nafs-e-shaitāñ se gar laakh gunahgār huā
huī usī vasīla se usī naam ke aadam kī najāt
tauba maqbūl huī kyā ye istiġhfār huā
ġharq se nuuh kī kashtī ko nikālā kis ne
nūr-e-ahmad merā har jā-e-madadgār huā
shar se namrūd ke bachne kā sabab thā honā
sho’la-e-nār ibrāhīm par gulzār huā
gul na hovegā qayāmat tak charāġh-e-’mahmūd’
jis ne afroḳhta kī vahī nigahdār huā
'ishq KHalwat mein tha aakHir sar-e-bazar hua
ek 'alam meri haalat se KHabar-dar hua
laila majnun ka hai qissa ya zuleKHa yusuf
'ishq mein shirin ke farhad kyun kohsar hua
'ishq aur mushk chhapane se kahin chhupta hai
lakh hujre mein rakho tabla-e-’attar hua
ruKH dikha apna zara aur uTha de maqta’
jama-e-zindagi bas tan pe giranbar hua
ek lahza na juda yar wafadar se ho
waqt-e-sakHti-o-musibat jo madad-gar hua
yar duniya se wafai nahin dekha koi
imtihan kar ke zamana ka mein hoshiyar hua
kis mein taqat hai kare wasf-e-imam-e-a’zam
sau dafa KHwab mein rab ka jise didar hua
baras chaalis tak ek wuzu se namaz-e-’isha
kya namaz-e-fazr paDhi kaisa ye sardar hua
kya nikalti hai zaban se wo anal-haq ki sada
sar-e-mansur isi waste bardar hua
rind maston ka hai maqbul sabhi haal-o-qal
mai-e-wahdat jo piya us ka rabb-e-ghaffar hua
jama-e-chun ki KHabar jis ko na ho hai majzub
haalat-e-jazb mein kya haal numudar hua
’ashiq-e-nam-e-mohammad ko na chhuegi dozaKH
nafs-e-shaitan se gar lakh gunahgar hua
hui usi wasila se usi nam ke aadam ki najat
tauba maqbul hui kya ye istighfar hua
gharq se nuh ki kashti ko nikala kis ne
nur-e-ahmad mera har ja-e-madadgar hua
shar se namrud ke bachne ka sabab tha hona
sho’la-e-nar ibrahim par gulzar hua
gul na howega qayamat tak charagh-e-’mahmud’
jis ne afroKHta ki wahi nigahdar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.