thī yagāna vo nazar begāna ban kar rah ga.ī
zindagī afsāna dar afsāna ban kar rah ga.ī
qahqahoñ se kab merā TuuTā huā dil juḌ sakā
bebasī phir zīnat-e-kāshāna ban kar rah ga.ī
'aam hotā kis tarah rāz-e-nihān-e-mai-kada
tishnagī rehn-e-had-e-mai-ḳhāna ban kar rah ga.ī
ai hujūm-e-nā-murādī ai vufūr-e-be-ḳhudī
mastī-e-dil āḳhirash vīrāna ban kar rah ga.ī
dil meñ tū ne kī to apnī hoh farmā.ī magar
ye tajallī bhī charāġh-e-ḳhāna ban kar rah ga.ī
ab terī āñkhoñ meñ bhī aañsū nazar aane lagī
terī duniyā bhī merā ġham-ḳhāna ban kar rah ga.ī
yā ilāhī kaun aayā hai naqāb ulTe hue
sham'-e-mahfil aaj kyuuñ parvāna ban kar rah ga.ī
kyā maza dene lagā us ko sujūd-e-sañg-e-dar
kyuuñ jabīn-e-vaqf-e-but-e-but-kHāna ban kar rah ga.ī
'āshiqī kī kashmakash 'bahzād' aisī chiiz hai
zindagī TuuTā huā paimāna ban kar rah ga.ī
thi yagana wo nazar begana ban kar rah gai
zindagi afsana dar afsana ban kar rah gai
qahqahon se kab mera TuTa hua dil juD saka
bebasi phir zinat-e-kashana ban kar rah gai
'am hota kis tarah raaz-e-nihan-e-mai-kada
tishnagi rehn-e-had-e-mai-KHana ban kar rah gai
ai hujum-e-na-muradi ai wufur-e-be-KHudi
masti-e-dil aaKHirash virana ban kar rah gai
dil mein tu ne ki to apni hoh farmai magar
ye tajalli bhi charagh-e-KHana ban kar rah gai
ab teri aankhon mein bhi aansu nazar aane lagi
teri duniya bhi mera gham-KHana ban kar rah gai
ya ilahi kaun aaya hai naqab ulTe hue
sham'-e-mahfil aaj kyun parwana ban kar rah gai
kya maza dene laga us ko sujud-e-sang-e-dar
kyun jabin-e-waqf-e-but-e-but-kHana ban kar rah gai
'ashiqi ki kashmakash 'bahzad' aisi chiz hai
zindagi TuTa hua paimana ban kar rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.