vahī sub.h jis meñ mujh ko terī kuchh ḳhabar na aa.e
mere daur-e-zindagī meñ kabhī vo sahar na aa.e
mirī chashm-e-justujū kī ye 'ajīb aarzū hai
ki kabhī vo sāmne ho kabhī vo nazar na aa.e
mujhe ġham nahīñ ḳhushī hai yahī dard-e-zindagī hai
merī chāra-sāziyoñ ko koī chāra-gar na aa.e
mere ġham kī kyā davā ho mujhe kis tarah shifā ho
merā zauq-e-dīd kyā jo tū hī nazar na aa.e
tere mai-kade kā ham ne ye 'ajīb taur dekhā
ki jo aa.e be-ḳhabar ho koī bā-ḳhabar na aa.e
merī pur-hijāb nazro zarā itnā dhyān rakhnā
ki vo sāmne bhī aa.e to tumheñ nazar na aa.e
nahīñ lutf bandagī kā nahīñ kaif zindagī kā
jo jabīñ ke paas khiñch kar tirā sañg-e-dar na aa.e
vo haram ki but-kada ho vo chaman ki mai-kada ho
vahāñ jā ke ham kareñ kyā jahāñ tū nazar na aa.e
merā haal kab zubūñ hai ye taḌap nahīñ sukūñ hai
mujhe chain yā ilāhī kabhī 'umr bhar na aa.e
wahi subh jis mein mujh ko teri kuchh KHabar na aae
mere daur-e-zindagi mein kabhi wo sahar na aae
meri chashm-e-justuju ki ye 'ajib aarzu hai
ki kabhi wo samne ho kabhi wo nazar na aae
mujhe gham nahin KHushi hai yahi dard-e-zindagi hai
meri chaara-saziyon ko koi chaara-gar na aae
mere gham ki kya dawa ho mujhe kis tarah shifa ho
mera zauq-e-did kya jo tu hi nazar na aae
tere mai-kade ka hum ne ye 'ajib taur dekha
ki jo aae be-KHabar ho koi ba-KHabar na aae
meri pur-hijab nazro zara itna dhyan rakhna
ki wo samne bhi aae to tumhein nazar na aae
nahin lutf bandagi ka nahin kaif zindagi ka
jo jabin ke pas khinch kar tera sang-e-dar na aae
wo haram ki but-kada ho wo chaman ki mai-kada ho
wahan ja ke hum karen kya jahan tu nazar na aae
mera haal kab zubun hai ye taDap nahin sukun hai
mujhe chain ya ilahi kabhi 'umr bhar na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.