aansu jo umanD kar aa hi gae kuchh baat thi dil mein rah na sake

aansu jo umanD kar aa hi gae kuchh baat thi dil mein rah na sake
Zaheer Ahmad Taj
MORE BYZaheer Ahmad Taj
Interesting Fact
مرقومہ 1943ء
aañsū jo umañD kar aa hī ga.e kuchh baat thī dil meñ rah na sake
jazbāt-e-mohabbat ruk na sake ham hāl-e-zabāñ se kah na sake
nazreñ jo milā.īñ nazroñ se ham hosh-o-ḳhirad ko bhuul ga.e
pahle hī natīja zāhir thā par dil ke taqāze sah na sake
ye chashm-e-tamāsha-bāz magar baaz aa.ī na lamha bhar ke liye
vo garche tavajjoh farmā the ham kuchh bhī to dil kī kah na sake
ai zabt-e-mohabbat terī qasam jo TuuT paḌe vo ashk nahīñ
aañsū to faqat vo motī hai palkoñ meñ bañdhe aur bah na sake
the kitne nikamme aur bure par laakh se behtar ho ke jiye
ai shān-e-karam sadqe meñ tire mahrūm kabhī ham rah na sake
ai taaj haiñ ham raazī ba-razā duniyā pe hai raushan apnī vafā
hai kaun sā baaqī koh-e-alam jo sar pe paḌā aur sah na sake
aansu jo umanD kar aa hi gae kuchh baat thi dil mein rah na sake
jazbaat-e-mohabbat ruk na sake hum haal-e-zaban se kah na sake
nazren jo milain nazron se hum hosh-o-KHirad ko bhul gae
pahle hi natija zahir tha par dil ke taqaze sah na sake
ye chashm-e-tamasha-baz magar baz aai na lamha bhar ke liye
wo garche tawajjoh farma the hum kuchh bhi to dil ki kah na sake
ai zabt-e-mohabbat teri qasam jo TuT paDe wo ashk nahin
aansu to faqat wo moti hai palkon mein bandhe aur bah na sake
the kitne nikamme aur bure par lakh se behtar ho ke jiye
ai shan-e-karam sadqe mein tere mahrum kabhi hum rah na sake
ai taj hain hum raazi ba-raza duniya pe hai raushan apni wafa
hai kaun sa baqi koh-e-alam jo sar pe paDa aur sah na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.