ai chaara-gar-e-shauq koi aisi dawa de
ai chāra-gar-e-shauq koī aisī davā de
jo dil se har ik ġhair kī chāhat ko bhulā de
bas dekh liyā duniyā ke rishtoñ kā tamāshā
maḳhlūq se ummīd ke sab diip bujhā de
pākīza tamannā.eñ bhī laatī haiñ udāsī
har zauq-e-talab shauq-e-tamannā hī miTā de
ik maiñ huuñ faqat tū ho aur 'ālam-e-hū ho
ai husn-e-azal saare hijābāt uThā de
hai ruuh ko har lamha tere vasl kī ummīd
aa ziist kī shab ko kabhī sub.h banā de
kyuuñ nek gumānoñ ke sahāre pe ji.eñ ham
in saare fareboñ ko sarāboñ ko haTā de
dekhe yā na dekhe ye to mahbūb kā haq hai
na tū āh-o-fuġhāñ kar na tū ġhairoñ sā gila de
de lazzat-e-dīdār kī mad-hoshī meñ vo hosh
jo hastī kī tā'rīf-o-ta'ayyun ko gañvā de
maiñ ḳhud bhī kabhī DhūñDh na pā.ūñ ḳhud ko
yuuñ ātish-e-sozāñ se merī raakh jalā de
huuñ hasrat-e-dīd liye tirī dahlīz pe kab se
ik baar karam kī nazar kar har ik parda uThā de
kyuuñ huuk sī uThtī hai dil-e-zār meñ 'tāhir'
is hastī-e-vīrāñ ke ḳhas-o-ḳhāshāk jalā de
ai chaara-gar-e-shauq koi aisi dawa de
jo dil se har ek ghair ki chahat ko bhula de
bas dekh liya duniya ke rishton ka tamasha
maKHluq se ummid ke sab dip bujha de
pakiza tamannaen bhi lati hain udasi
har zauq-e-talab shauq-e-tamanna hi miTa de
ek main hun faqat tu ho aur 'alam-e-hu ho
ai husn-e-azal sare hijabaat uTha de
hai ruh ko har lamha tere wasl ki ummid
aa zist ki shab ko kabhi subh bana de
kyun nek gumanon ke sahaare pe jien hum
in sare farebon ko sarabon ko haTa de
dekhe ya na dekhe ye to mahbub ka haq hai
na tu aah-o-fughan kar na tu ghairon sa gila de
de lazzat-e-didar ki mad-hoshi mein wo hosh
jo hasti ki ta'rif-o-ta'ayyun ko ganwa de
main KHud bhi kabhi DhunDh na paun KHud ko
yun aatish-e-sozan se meri rakh jala de
hun hasrat-e-did liye teri dahliz pe kab se
ek bar karam ki nazar kar har ek parda uTha de
kyun huk si uThti hai dil-e-zar mein 'tahir'
is hasti-e-viran ke KHas-o-KHashak jala de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.