pa kar tujhe apne ko main kya bhul gaya hun
pā kar tujhe apne ko maiñ kyā bhuul gayā huuñ
har sū do-zabān-e-dosrā bhuul gayā huuñ
aatā hai ḳhudā bhī tire sadqa meñ mujhe yaad
goyā ki ba-zāhir maiñ ḳhudā bhuul gayā huuñ
'ālam ke tamāshe nahīñ ab jāzib-e-dil haiñ
har lazzat-e-hastī kā mazā bhuul gayā huuñ
ab mas.a.la-e-kasrat-o-vahdat ko meñ samjhā
pā kar tujhe sab tere sivā bhuul gayā huuñ
sajda taraf-e-ka.aba hai dil terī taraf hai
ab qibla bhī ai qibla-numā bhuul gayā huuñ
hal jab se huā falsafa-e-husn-e-haqīqat
har mas.ala ai zehn-e-rasā bhuul gayā huuñ
hai aao sahar-gāh meñ do zauq lab-o-gosh
chañg-o-nai-e-o-barbat kī sadā bhuul gayā huuñ
manzūr tirī chashm-e-razā jab se huī hai
ummīd-e-jazā ḳhauf-e-sazā bhuul gayā huuñ
ai rahbar-e-taufīq mujhe raah batā de
naqsh-e-qadam-e-rāh-numā bhuul gayā huuñ
ai ḳhizr mirā qāfila kis samt gayā hai
tamīz-e-sadā-hā-e-darā bhuul gayā huuñ
ulTā hai varaq aaj se afsāna-e-nau kā
afsāna-e-pārīna-dilā bhuul gayā huuñ
pa kar tujhe apne ko main kya bhul gaya hun
har su do-zaban-e-dosra bhul gaya hun
aata hai KHuda bhi tere sadqa mein mujhe yaad
goya ki ba-zahir main KHuda bhul gaya hun
'alam ke tamashe nahin ab jazib-e-dil hain
har lazzat-e-hasti ka maza bhul gaya hun
ab masala-e-kasrat-o-wahdat ko mein samjha
pa kar tujhe sab tere siwa bhul gaya hun
sajda taraf-e-kaba hai dil teri taraf hai
ab qibla bhi ai qibla-numa bhul gaya hun
hal jab se hua falsafa-e-husn-e-haqiqat
har masala ai zehn-e-rasa bhul gaya hun
hai aao sahar-gah mein do zauq lab-o-gosh
chang-o-nai-e-o-barbat ki sada bhul gaya hun
manzur teri chashm-e-raza jab se hui hai
ummid-e-jaza KHauf-e-saza bhul gaya hun
ai rahbar-e-taufiq mujhe rah bata de
naqsh-e-qadam-e-rah-numa bhul gaya hun
ai KHizr mera qafila kis samt gaya hai
tamiz-e-sada-ha-e-dara bhul gaya hun
ulTa hai waraq aaj se afsana-e-nau ka
afsana-e-parina-dila bhul gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.