haalat-e-dil ka etibar kya
Interesting Fact
مرقومہ 19 دسمبر 1954ء
hālat-e-dil kā e'tibār kyā
ham ne nādīda un se pyaar kiyā
alā bi-zikrillahi tatma.innul-qulūb
un ke tazkār ne sukūñ baḳhshā
jab kabhī dil ne be-qarār kiyā
nahnu-aqrabu-alaihi min hablil-varīd
dekh vāraftagī-e-shauq-e-jamāl
dil meñ the phir bhī intizār kiyā
valā taqnitū mir-rahmatillāh
un ke lutf-o-karam ke sadqe meñ
ham ne har jurm bār-bār kiyā
lais lill-insāni illā mā sa’ā
raas aayā na aasrā ham ko
ye gunah ham ne chand baar kiyā
innahu kaana zalūman jahūlā
haaye kyā sādgī thī jab ham ne
'umr-e-fānī ko iḳhtiyār kiyā
hasbunallahu-va-ne’mal-vakīl
jab zamāne ne saath chhoḌ diyā
un kī rahmat ne kāmgār kiyā
inallāha yuhibbul-muhsinīn
lutf-o-ehsān hai zindagī kā jamāl
muhsinoñ se unhoñ ne pyaar kiyā
zaharal-fasādu fil-barri-val-bahri bimā-kasabat aidiyannās
yukhribūna buyūtahum bi-aidiyahum
sau tadbīr dekhnā ai 'tāj'
jeb-o-dastāñ ko tār-tār kiyā
haalat-e-dil ka e'tibar kya
hum ne nadida un se pyar kiya
ala bi-zikrillahi tatmainnul-qulub
un ke tazkar ne sukun baKHsha
jab kabhi dil ne be-qarar kiya
nahnu-aqrabu-alaihi min hablil-warid
dekh waraftagi-e-shauq-e-jamal
dil mein the phir bhi intizar kiya
wala taqnitu mir-rahmatillah
un ke lutf-o-karam ke sadqe mein
hum ne har jurm bar-bar kiya
lais lill-insani illa ma sa’a
ras aaya na aasra hum ko
ye gunah hum ne chand bar kiya
innahu kana zaluman jahula
haye kya sadgi thi jab hum ne
'umr-e-fani ko iKHtiyar kiya
hasbunallahu-wa-ne’mal-wakil
jab zamane ne sath chhoD diya
un ki rahmat ne kaamgar kiya
inallaha yuhibbul-muhsinin
lutf-o-ehsan hai zindagi ka jamal
muhsinon se unhon ne pyar kiya
zaharal-fasadu fil-barri-wal-bahri bima-kasabat aidiyannas
yukhribuna buyutahum bi-aidiyahum
sau tadbir dekhna ai 'taj'
jeb-o-dastan ko tar-tar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.