log kahte hain ki wo kahte hain diwana mujhe
log kahte haiñ ki vo kahte haiñ dīvāna mujhe
kaun jaane kyā kahā hai rāz-dārāna mujhe
kitne afsānoñ kā mazmūñ kitne armānoñ kī baat
daftar-e-fikr-o-nazar hai ḳhāk-e-parvāna mujhe
sham' kī mānind ghul kar jo miTā de zulmateñ
'ishq vaalo koī dikhlāo vo dīvāna mujhe
shukr hai minnat-kash-e-pīr-e-muġhāñ ye dil nahīñ
ġhuncha-o-gul jaam haiñ gulshan hai mai-ḳhāna mujhe
har kalī hai merā miinā kaar hai mizrāb-e-sāz
mast rakhtā hai hamesha zauq-e-rindāna mujhe
husn ke bande haiñ sab hī maah bhī ḳhurshīd bhī
bazm-e-anjum rashk-e-mai-kHāna hai rozāna mujhe
zinda-e-jāved hai ye hastī-e-fānī bhī 'tāj'
be-ḳhabar haiñ jo kahā karte haiñ afsāna mujhe
log kahte hain ki wo kahte hain diwana mujhe
kaun jaane kya kaha hai raaz-darana mujhe
kitne afsanon ka mazmun kitne armanon ki baat
daftar-e-fikr-o-nazar hai KHak-e-parwana mujhe
sham' ki manind ghul kar jo miTa de zulmaten
'ishq walo koi dikhlao wo diwana mujhe
shukr hai minnat-kash-e-pir-e-mughan ye dil nahin
ghuncha-o-gul jam hain gulshan hai mai-KHana mujhe
har kali hai mera mina kar hai mizrab-e-saz
mast rakhta hai hamesha zauq-e-rindana mujhe
husn ke bande hain sab hi mah bhi KHurshid bhi
bazm-e-anjum rashk-e-mai-kHana hai rozana mujhe
zinda-e-jawed hai ye hasti-e-fani bhi 'taj'
be-KHabar hain jo kaha karte hain afsana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.